Makeover song lyrics are the Latest Hindi Album song by Srushti Tawade and Spectra/Hiten. The song is sung by Srushti Tawade and Spectra and the Music is composed by Hiten. Makeover Lyrics are also written by Srushti Tawade and Spectra
Table of Contents
Makeover Song Details
Song | Makeover |
Singer | Srushti Tawade and, Spectra |
Lyrics | Srushti Tawade and Spectra |
Music | Hiten |
Label | Srushti Tawade |
Makeover Song Lyrics
Spectra! I’m a rap star!
Kaafi time se mein chha raha hu screen pe.
Par profile meri lag rahi hai meme page.
And I complain that I wanna change that.
Chaahe baal kaato chaahe kar do clean shave.
Toh naai wale bhaiya, kar do mood change.
Aisa makeover de do jo kar de thuut change.
How long will it take? How long will I wait?
Ruko zara! Sabar karo!
Ayo! Hold up!
Naam chhota don aur shaam ko shaadi hai
Ghodi bhi ready aur spare me ek gaadi hai
Baaki sab set hai, sherwani – body – vody
Khaali ye udaao ye jo extra ki daadhi hai
Wo kya hai na, apne wali ladki ko
Pasand hai apun, bas thobde pe bhadki toh
Kya kar sakte? Kuch, magic karo.
Abhi baaki sab chhodo pehle ye theek karo.
Don ko salaam! Kaha hai bhabhi?
Hum bhi toh dekhe kiski kismat bigaadi.
I mean kismat bana di. Wo kaun hai khushnaseeb?
Wo khush toh boht hogi. Must be dreaming in her sleep.
Maa kasam, aap kya lag rahe ho!
Ye daadhi aisi hai tabhi toh jach rahe ho.
Ab hum aapka makeover kya hi kare!
Yaha pe subhe se ruka hua ek writer hai.
Boht famous hai idhar andar hi baitha hai.
Industry me tikna chahta hai, aisa kehta hai.
Camera ke liye karna padta hai. Ab baat toh wohi hai. Wo majbuur hai, par aap toh nahi hai.
Ye industry walo ka bhi kitna bada gham hai.
Kaahe ka lifestyle, saala, kahe ka freedom hai!
Apni marzi se kuch kha pii nahi sakte.
Makeup ke bina kidhar jaa bhi nahi sakte.
Fame ke liye aadmi aise ulajh saktaay.
Apun duniya dekhelaay. Samajn saktaay.
Samajh saktaay ki unka zindagi jhand hai.
Par aaj nahi samjhega. Pappu, mera gun de!
Arey, arey, don bhai. Aisi baat nahi hai.
Hum aapko haath, lagaaye, hamaari aukaat nahi hai.
Chhodo na! Aap seedha shaadi karo!
Tumko vinamra hai. Mera daadhi karo. Dekho bhaisahab, sar pe mat chadho.
Utho idhar se, aur aage badho. Kaha na humne tumhara time nahi aayega.
Aise kaise?
Chup ekdum! Warna chhotu, don maar khayega.
Ayy! Bas, boht ho gaya. Little little, sunte sunte abhi lot ho gaya.
Kaahe ka ghamand hai be? Tujhe kaun dekhtaay? Tu barber bhi nahi hai, saale.
Tu sirf Spectra hai.
Tu toh chup hi reh! Tu kaunsi don hai? Sab ko pata hai tu haqeeqat me kaun hai.
Kheechne ko kheech deta mein bhi teri daadhi. Tu ladki hai karke teri muuchh nahi ukhaadi.
Aye, zabaan sambhaal, samiha na?
Tu zabaan sambhaal. You’re talking to a star.
Tu star hai toh mein bhi Don hu. Shakal dekhi hai?
Tu batayega, shakal ke baare me?
Iss gaane ka thumbhail aane de, phir teri shakal dekhenge!
Top 5 me bhi aa gaya tha, yaha bhi aa gaya meri jagah. Boht ho raha hai ha!
Tere saath collab hi nahi karuunga.
Ha, karne ka bhi nahi hai, jaa, chal. Aawaaz neeche, aawaaz neeche.
Tu chup, tu chup, tu chup. Shaana ban raha hai mere saamne?
Shaana ban raha hu kyuki mein shaana hu. Kaun hai ye?
Koi nahi hai, sir. Sorry, sir!! Dekha? Koi nahi hai tu!
Khatam tata bye bye good bye.
Ha, toh tu bhi koi nahi hai. Tujhse milna bhi nahi hai kisi ko.
Chalo, bahar chalo. Aur gaana mat banana waapas, ha?